To post comments on this Lekh you need to be logged in.
Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha,
Bade Hi Pyaar Se Mujhe Nahlaya Jaa Raha Tha.
Na Jaane Tha Wo Kaun Sa Ajab Khel Mere Ghar Mein,
Bachchon Ki Tarah Mujhe Kandhe Pe Uthaya Jaa Raha Tha.
Tha Paas Mere Mera Har Apna Us Waqt Fir Bhi,
Main Har Kisi Ke Munh Se Bulaya Jaa Raha Tha.
Jo Kabhi Dekhte Bhi Na The Mohabbat Ki Nigah Se,
Unke Dil Se Bhi Pyaar Mujh Pe Lutaya Jaa Raha Tha.
Maloom Nahi Hairaan Tha Har Koi Mujhe Sote Huye Dekh Kar,
Zor-Zor Se Ro Kar Mujhe Hasaya Jaa Raha Tha.
Kaanp Uthi Meri Rooh Mera Wo Makaan Dekh Kar,
Pata Chala Jab Mujhe Dafnaya Jaa Raha Tha.
Ro Pada Fir Main Bhi Mera Wo Manzar Dekh Kar,
Jahan Mujhe Hamesha Ke Liye Sulaya Jaa Raha Tha.
Mohabbat Ki Intiha Thi Jin Dilon Mein Mere Liye,
Usi Ghar Se Aaj Main Ek Pal Mein Bhulaya Jaa Raha Tha.